07/02/2024
Meri Darkhwast
Bakhidmat Awam,
Pakistan.
Guzarish hai k m apka bhai awami hoon jasa k ap jantay hain 8 Feb 2024 ko election hai jis k lyay sb he puranay or nay umeedwar zor lagaray hain lakin kuch asay b hain jin ko kisi qism ki compaign ki ijazat ni mil rahi kuch jail m hain kisi ko media coverage ni di jari baqi jo peechlay 35 saal say baaria laray hain unko bht ilzamat k bawajood khuli ijazat hai jo hr bar awam ka istehsal krtay hain jo sirf hukumran bnnay k lyay Pakistan atay hain jo kisi sai bnday ko moqa mil jay to aik hokar uski hukoomat khtam krdatay hain jo phr election k lyay aik doosray k mukhalif bn gay hain jasa us nay kaha tha k ye mjy hatanay k lyay aik hojyngay phr bari lanay k lyay aik doosray k mukhalif hojyngay ye inhi hukumrano ki badolat hai k hamara mulk din ba din peechay hota jara hai hm asia m sb s peechay hain hamara taleemi nizam, sehat ka nizam , transport ka nizam sb bosida hai jo sind m sehat k behtar nizam ka tamgha lana chahtay hain kia hm awam isi lyay hain k hm log sisak sisak k apni bari anay par ilaj karayn sirf is lyay k muft hain ye koi ehsaan ni hai tumhara hm p khud to london ilaj karwaty ho or jo transport or motorway ka credit latay hain to in sarkon ko chatain hm hr cheez to girvi hai hamari kis bat p fakhar karain k motorway hai hmaray pass hmaim ghulam samjhtay hain.
Ap sb s guzarish hai Allah k lyay 35 saalon s mulk ko barbad karnay walo ko vote na dain apnay haq ko sai istemal karain Haq ka sath dain batil ko shikast dain
Allah Pak hamain haq p qaim hukumran ata karay Ameen
Shukrya
Pakistan Zindabad