16/03/2016
By:
M Daniyal Asghar Janjua
"Hum Zinda Qoum Hein"
Ahh haa aj samaj mein aya k hum
zinda qoum kasy hein??
To ayeein apny qarein ko bhi btata
chalo k hum zinda qoum asy hein k
hum bomb blast mein mar bhi jayein
to kisi ko koi parwa nae hoti balky
hum to bina kisi dukh or fikar k
jashan manany k qayeil hein or to or
yahaa 20 say zayeid nojwan or wo
nojwan jo har ghar k ikloty kamao-
puttar hein un ki zindagi ka janaza
nikal raha ho to ider Ma SHA
ALLAH...............
Chushm_e_bad_door
humari qoum k jawan dhool ki thap
py bhangry or lodeyaan dalty hein
larkeyan rasq-o-musty ki mehfilein
sajany mein masroof hoti hein
uncle hazrat methayee taqseem
kerny mein mashgool hoty hein
antiyan saheba keh_ky or
khush_gapeeyo k sath sath
mazy mazy k pakwan banati hein or
media sirf is be_hisy ko coverage day
kar apnay zinda hony ka saboot daty
hein or apna hisaa dal k hazri lagwati
hy...............
Or is sub k bad mein to yeah hi kaho
ga k ya sub jashan,raqs,meh
filein,methaeyan , dhool or
khushiyan sirf un 20 bewaa ortoo ,
yateem bacho , be sahara maayoon
,lachar bap be_yaro_madad_gar
bhaiyo k dukh ki khushi mein
rachaya jata hy...............;-(